| • Zindagi Badsurat? • |

28 11 6
                                    


POEM 2: Zindagi Badsurat?


tum kehte ho zindagi badsurat hai.

kabhi kisi se mohabbat ki hai?
kabhi usko jaan se pyaara bnaya hai?
kabhi uski khushi mein apni khushi dhundhi hai?
kabhi uske gham mein apna dukh paaya hai?

kabhi uss se din-raat baat ki hai?
kabhi uski baahon mein raatein bitaayi hai?
kabhi uske andaz pe kavitaaein likhi hai?
Kabhi uske shaksiyat pe ghazal gaayi hai?

kabhi uss ki galwakdi mein chain paaya hai?
kya dikha uski aakhon mein aapne liye pyaar ka saaya hai?
Kabhi iss duniya ki reet, uske liye todi Hai?
Kya apni prathmikta'en uske liye chodi Hai?

Kabhi dekhe uski aakhon ke taare hai?
Jisko naman karne jaagte tak chand-sitaare hai
kabhi dekhe uski muskurahat pe kitne haare?
kabhi dekha ki tumhaari kismat se jalte saare?

hum uss par itne fidaa ho bethe,
ki uski sifat kar kar uspe rubai likh bethe.
Zara haal-e-dil pucho toh sahi,
ki pata chale hum apna dil kho bethe.

aur tum kehte ho ki zindagi badsurat hai.

---------------------------------------------

Hieee! Do wait for the next part of the poem, which will be released soon. Oh! And that will be an alternate version of this one. 

Thank you 。⁠◕⁠‿⁠◕⁠。

𝑨𝒏𝒌𝒂𝒉𝒊 𝑩𝒂𝒂𝒕𝒆𝒊𝒏Where stories live. Discover now