| • Zindagi Khubsurat? • |

19 11 4
                                    


POEM 3: Zindagi Khubsurat?



Tum kehte ho zindagi khubsurat hai.

zara aankhein kholo meri jaan,
uski jhooti muskurahat toh pehchaano
jinke peeche chupi nammi hai, 
uss meharbaan ki zara aakhein toh nihaaro

jiski sifat karne ko shabdavali tak kam thi,
Uske jhoothe shabd toh suno.
jisko kiye angine vaade the,
Uske farebi pyaar ke izhaar toh suno.

aaj unhi se raaste alag hai,
Jinse Jude Dil ke taar the.
Aaj unhi bechain labhon pe khaamoshi hai,
Jo kabhi har pal hass'te, na kabhi beqrar the.

Baajhu pe voh nishaan na dikhe,
dikhi toh hothon pe lehraati voh kapti muskaan.
na hi dikhe kaanpte hue haath, 
kuch dikha, toh voh tha jhootha swaabhimaan.
nazar mein toh voh dard bhi na aaya,
jiski kitne samay se thi voh shikaar.
na hi mehsoos hua uska darr,
jiski mehrabaani se, na kabhi mila usko karar.

Ghabrata hai dil, kya karu?
Samajh nhi aata hai, kya karu?
Kyu hum uss se dur jaate hue bhi usske paas chale aate hai?
Kyu andheron mein bhi sirf uss ko hi taalash'te hai?

jinke vajah se dikhte humaare aakhon mein taare the,
aaj unki vajah se hi basse un naino mein aansu khaare hai.

Aur tum kehte ho ki zindagi khubsurat hai.


-----------------------------------

Okay, so this poemm was written yesternight. And it may be full of mistakes. So, don't hesitate to point it out :))

And, this is the alternate version of 'Zindagi Badsurat?'

Thank you 。⁠◕⁠‿⁠◕ 。⁠

𝑨𝒏𝒌𝒂𝒉𝒊 𝑩𝒂𝒂𝒕𝒆𝒊𝒏Where stories live. Discover now